Tuesday, January 28, 2020

Koste Reh Jaaoge...

Jo karna hai, woh, aaj karna hai
warna koste reh jaaoge
Jo kehna hai, woh, aaj kehna hai
warna koste reh jaoge

Pal bhar ki zindagi hai, aaj na jiye,
toh koste reh jaoge...

Phir din, saal, mahine, arse beet jaayenge,
aur tum yeh sochte reh jaaoge,
ki mein sirf kosta raha...

Kosoge us kal ko, kosoge us pal ko,
kosoge mausam ko, kosoge barsat ko,
Kosoge imaan ko, kosoge us aasmaan ko,
kosoge apne dil ko, kosoge khud aap ko

Pal bhar ki zindagi hai, aaj na jiye,
toh koste reh jaoge...
Itne neele, itne door
Aakhir mil hi jaate ho
Par dhoondne jaao,toh
Haath nahi aate ho

Kitni kahaniyaan hai aap dono ki
Kitno ke aapka zikr kiya hai
Kahaniyaan khatam ho jaati hai
Aap nahi...

Jao, koi toh dhoondne jaao...
Jao koi khoj Kar aao
Kidhar thamoge...
Jidhar se shuru kiya kiya tha
wapas wahin aa khade ho jaoge

Asaan nahi samajhna inka pyaar
duniya see parre, chupke chupke kahin toh milte hain?
Dekh paati hai tumhe,
Na raat ki chaandi, na subah ki roshini
Aisi kaun so jagah hai... aye Sagar aur aasaman,
Batao Zara humein bhi.... Kahaniyaan toh humari bhi Hain....